AADAAB ARZ HAI!

Aapki Khoobsoorat Bisaraton ki Nazar Arz Kiya Hai!

Wednesday, 11 April 2012

Wo chand baam per jo idher se udher gaya

Wo chand baam per jo idher se udher gaya
Main baikhaber tha upne hi saay se der gaya

Reh reh ke mangta tha jo sawan ki barshain
Dariya wo aaj aik hi qatre se bher gaya

Kal tuk to sath sath thi teri hi chandni
Aur aaj pooch pooch ke main upne gher gaya

Lalach na khyzr de mujhe umr-e-daraz ka
Aab-e-hayat pi ke bhi insan mer gaya

Aankhon mein tha khumar to honton se door thi
Main ne jo pi sharab to nasha utter gaya

Dewar gir gai mirre kache makan ki
Tha jubkeh barshon ka bhi mosam guzer gaya

Dil per ussi ke payar ke pehre lage rahe
Seene se jis ki yad ka lashker guzer gaya

Main nafraton ke beech tha Afzal pla barha
Daikha kissi ne payar se aur main bikher gaya.

No comments:

Post a Comment